Friday, June 25, 2010

Kaynaat Ruk Jayegi aasama Jukh Jayega

Jab Haathon ko Thamne mere, Kisi ka Hath aayega

Karegi sajda subah, milega chaand aakar ke

Jab ek chehra mere dil ko bha jayega

Saawan umad kar aayega dikahyega apne dil ki khushi

Sukhon se damman wo hmara bhar jayega

Chandni bhi kahegi dekh kar chehra uska

Tujhe dekh to mera chaand b Sharma jayega

Suraj ki roshni bhi kam padegi uske aage

Wo bhi kuch roshni maangne ek din aayega

Phoolon ko hogi jalan jab bhawran na uske pas aayega

Dekh kar uske liye parwana bhi jalna chahega

Rab bhi karne lagega ibadat or pooja uski

usme jab apne noor ko wo payega

wo Paas ek din aayega mera hath thamne

karegi sajda sari kaynaat jab honge hum aamne samne……………

2 comments:

  1. ish chhoti se umar me aapne jo ye lay payi hai bade bade logo ki aapne kya band bajayi hai

    ReplyDelete

Comment If you Like...