Thursday, September 9, 2010

Kabhi parinda ban udd jane ko dil karta hai
To kabhi khud hawaon k sang gaane ko dil karta hai

Jo hai adhuri khawaishey is dil ki chupi
Unhe sach kar jaane ko dil karta hai

Kha hai jammen ye mera aasaman saara
Inhe dhundhne mai nikal jaane ko dil karta hai

Suni thi khani jo pariyo ki bachpan mai
Aaj un k sang pari ban jaane ko jee karta hai

Darti hu baadalo k andhero se jab kabhi to
Kabhi unke sang baras jaane ko jee karta hai

Dekhti hu jo sapne in band aankhon se kabhi
To kabhi khuli aankhon se pura karne ko jee karta hai

Dekh kar bachpan kisi or ko jeete
Aaj fir se baccha ban jaane ko jee karta hai

Jammeen or aasaman door kyu hai ek duje se
Unhe eek duje se milwane ka dil karta hai

Roti thi kabhi jab hoti thi udas to
Lekin ab hasi se aankhen bighone ko ji karta hai

Darr hai in aankhon mai mujhe khone ka sab kuch
Aaj sab wo kho kar kuch naya pane ko jee karta hai..... :)

No comments:

Post a Comment

Comment If you Like...